Wednesday, May 30, 2012

kuch khyaal


kehne ko mere lafz kuch bhi keh sakte hain
tum unhe samjh paate ho ya nahi ye tum par nirbhar hai


Udane ko to main armaano ke paron pe udaan bhar lun
tum mere armaano ko sweekaro ya nahi ye tum par nirbhar hai


Behane ko to aansuyon ka jharna jhar jhar beh sakta hai
tum unhe moti samjho ya pani ye tum par nirbhar hai


yun to mehfil mein bhi khud ko tanha paya hai kayi baar
par tere khyaalon ki khushbu tanyahi ko mehkaye ye tum par nirbhar hai

Thursday, May 24, 2012

Nadaan dil


Aye dil tu kyun rota hai
Aksar aisa hota hai...
jo deta hai wo pata hai
jo bas chahta hai wo khota hai...


Baant barabar khushi sab mein
kyun kamm ya zyada deta hai...
kar pyaar sab ko ibadat ki tarah
len den ki asha kyun karta hai...


Jeevan ki chahat koi zurm nahi
Jee khul kar agar tu jeena chahta hai..
kyun fariyaad dusron se karta hai
bepanah pyaar tu khud ko de sakta hai...