Monday, November 12, 2012

Is Diwali....



Is Diwali
Khushiyon se bhara mera pariwaar jagmaagaaye
Mere ghar ki chhat pe dhero diye jagmagaaye 
Jagmaaye wo mere shehar ki galiyaan
roshni se nahaayi amavas ki raat jagmagaaye

Is Diwali
Jo bichad gaye wo ban ke taare timtimaaye
Jo saath hain wo meri mehfil ko mehkaayein
Har taraf chamke hasi ki phuljhariyaan
Mere yaar jagmaayein unka sansaar jagmagaaye

Is Diwali
Dil se aaj bas ek hi duyaa gungunaaye
sab ki zindagi mein khushiyaan bhar jaayein
parvaton pe girti shabnam sa nirmal ho sabka mann
Har ek ki peshaani kismaton se jagmagaaye

1 comment: